Saturday 19 November 2016


Geet Unwaan : Insaan kaa dushman

Insaan kaa dushman hai insaa`n
Yeh sun kar hairat hoti hai !

Kyaa tujh ko khabar hai aye bandey
Tu ne jo phool chadaaye hain
Wo maalaa kis ne goondhi hai
Kis ne wo baugh lagaaye hain
Sun ley Tu Rab ke aagey bas
Niyyat ki qeemat hoti hai

Insaan kaa dushman hai insaa`n
Yeh sun kar hairat hoti hai !

Dil ik Hindu ka Muslim ko
Kidney Christian ki ik Sikh ko
Aisaa kyoo`n hotaa hai socho ?
Aisaa kyoo`n hotaa hai bolo ?
Lag jaati hai`n ik doojey ko
Jab jab bhi zaroorat hoti hai

Insaan kaa dushman hai insaa`n
Yeh sun kar hairat hoti hai !

Khudd apney janam se pehle hi
kyaa Too ney mazhab sochaa thaa
Yaa janm ke waqt jo Dr. thi
Kyaa Uss kaa mazhab poochaa thaa
Jab tujh ko bachaaney ki khaatir
Jo khoon charhaa wo kis kaa thaa ?
Bas naam se har ik mazhab hai
Mazhab ki koi pehchaan nahi
Be naam agar zindaa rehtey
Kyaa kehlaatey insaan nahi ?

Insaan kaa dushman hai insaa`n
Yeh sun kar hairat hoti hai !

Qanoon hai yeh iss Dharti kaa
Kis tarah issey jhuttlaao gey
Insaan ko jeeney ki khaatir
Insaa`n ki zaroorat hoti hai.

Insaan kaa dushman hai insaa`n
Yeh sun kar hairat hoti hai !
Hussain Kavish (Mumbai)
Mobile : 09833535045 

No comments:

Post a Comment